jo banda-e-KHuda tha KHuda hone wala hai

jo banda-e-khuda tha khuda hone wala hai
kya kuchh abhi to jalwa-numa hone wala hai

ye bhi durust hai ki payambar nahin hun main
hai ye bhi sach ki mera kaha hone wala hai

kuchh ashk-e-khun bacha ke bhi rakhiye ki shahr mein
jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai

wo waqt hai ki khalq pe har zulm-e-na-rawa
allah ka nam le ke rawa hone wala hai

ek khauf hai ki hone hi wala hai ja-guzin
ek khwab hai ki sab se juda hone wala hai

rang-e-hawa mein hai ajab asrar sa koi
koi bhi jaanta nahin kya hone wala hai

khush tha siyah-khana-e-dil mein bahut lahu
is qaid se magar ye riha hone wala hai

ye tir aakhiri hai bas us ki kaman mein
aur wo bhi dekh lena khata hone wala hai

ek lahar hai ki mujh mein uchhalne ko hai 'zafar'
ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close