jo banega wahi banana hai
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
jo banega wahi banana hai
kya karen chaak use ghumana hai
yeh mera ghar hai wo zamana hai
ab batao kidhar ko jaana hai
phul collar pe bas lagana hai
kitna aasan muskurana hai
jhulti hai kaman par chidiya
aur tarkash mein aashiyana hai
pad gai hai zaban uljhan mein
jo chhupana hai wo batana hai
hum jahan hain wahin pe milte hain
jo pata hai wahi thikana hai
main ne patthar to kar liya khud ko
ab teri rah se hatana hai
kya karen chaak use ghumana hai
yeh mera ghar hai wo zamana hai
ab batao kidhar ko jaana hai
phul collar pe bas lagana hai
kitna aasan muskurana hai
jhulti hai kaman par chidiya
aur tarkash mein aashiyana hai
pad gai hai zaban uljhan mein
jo chhupana hai wo batana hai
hum jahan hain wahin pe milte hain
jo pata hai wahi thikana hai
main ne patthar to kar liya khud ko
ab teri rah se hatana hai
85660 viewsghazal • English