jo bashar tufan se Takraata nahin

By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
jo bashar tufan se takraata nahin
apni azmat ko samajh pata nahin
justuju mein khud jo kho jata nahin
gauhar-e-maqsud ko pata nahin


kis ko dekhen is bhari duniya mein hum
koi bhi tum sa nazar aata nahin
sochiye to dil hi mein maujud hai
dekhiye to wo nazar aata nahin


kya qayamat hai farogh-e-fasl-e-gul
aashiyan apna nazar aata nahin
bad-guman kyon mujh se naseh ho gaya
main kahin aata nahin jata nahin


jo gham-e-ulfat ka khugar ho gaya
wo gham-e-dauran se ghabraata nahin
lut chuka hun barha 'sabir' magar
ishq se dil ab bhi baz aata nahin


21746 viewsghazalEnglish