jo bhi kirdar se likhi jae

By adeeb-damohiOctober 31, 2024
jo bhi kirdar se likhi jae
zindagi kyon na wo padhi jae
daftar-e-gham mein aa ke baitha hun
aaj koi ghazal kahi jae


zehn ka bojh kuchh to halka ho
gard yaadon ki saf ki jae
zindagi ke hisab mein gum hun
hal paheli ye kaise ki jae


chand lamhe hi khinch lo is se
zindagi sham si dhali jae
lab ke khulte hi kan khul jaen
aise lahje mein baat ki jae


be-tahasha hai bhid khud mujh mein
ab jagah aur kis ko di jae
dil ka shisha jo tod kar rakh de
baat wo kyon kahi suni jae


jis ko dekho is intizar mein hai
shor utthe to khamushi jae
sirf urdu zaban hai jo 'adib'
ras mohabbat ka gholti jae


89877 viewsghazalEnglish