jo bojh hai dil par use kam karte rahenge sha'ir hain to har nak mein dam karte rahenge ye parti achchhi hai na wo parti achchhi leader ko zaruri hai udham karte rahenge le aaenge saman ko custam se bacha kar is tarah se hum sair-e-haram karte rahenge ahbab ko le dubenge ahwal suna kar wabaston ko wabasta-e-gham karte rahenge ye roz-e-mulaqat hi ma'lum tha hum ko ma'shuq jo hain aap sitam karte rahenge bete jo chale jaenge sasural ke ghar ko hum bap hain aulad ka gham karte rahenge hum nam pe firqon ke ladaenge 'rahim' ab yun parwarish-e-dair-o-haram karte rahenge