jo bujh gaya usi manzar pe rakh ke aaya hun
By salim-saleemFebruary 28, 2024
jo bujh gaya usi manzar pe rakh ke aaya hun
main sab asasa-e-dil ghar pe rakh ke aaya hun
bata main kya karun ab ai meri tahi-dasti
ki jitne khwab the bistar pe rakh ke aaya hun
jo le gai use mauj-e-fana to hairat kya
main apna jism samundar pe rakh ke aaya hun
hara-bhara hun bahaaron ke zakhm khate hue
in ungliyon ko gul-e-tar pe rakh ke aaya hun
ye main nahin meri parchhain hai tere aage
ki apna aap to main ghar pe rakh ke aaya hun
bahut nidhaal hui hai thakan se ruh meri
main apni khak-e-badan sar pe rakh ke aaya hun

71495 viewsghazal • English