jo chand ko aaghosh mein lene pe aDa tha

By badr-shamsiOctober 8, 2023
jo chand ko aaghosh mein lene pe ada tha
har chand wo bachcha tha magar dil ka bada tha
jab apni hi pahchan se ran apna pada tha
hum aise jiyalon pe bhi wo waqt kada tha


tufan se ladne ki 'alamat tha jo socho
yun kahne ko mitti ka wo ek kachcha ghada tha
khul kar mujhe ek sans ka lena bhi tha mushkil
haalat ka neza mere sine mein gada tha


wo tir chalata raha nazdik samajh kar
lekin main nishane se bahut dur khada tha
dekha to hamein tut ke do tukde hue the
dushman ki safon mein bhi hamara hi dhada tha


har dhup mein jalna hi raha us ka muqaddar
diwar ka saya pas-e-diwar pada tha
hangama-e-jaan shor-e-ana dil ki qayamat
main kitne mahazon pe akela hi lada tha


har zakhm jo bakhsha tha mujhe us ki nazar ne
ai 'badr' nagine ki tarah dil mein jada tha
80128 viewsghazalEnglish