jo chiDiya mere ghar aa ja rahi thi
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
jo chidiya mere ghar aa ja rahi thi
tumhaare ghar se tinke la rahi thi
badan us ka bhi gunga ho gaya tha
hamari bhi nazar hakla rahi thi
hawa ne kyon bujhaya tha diye ko
teri khushbu mujhe samjha rahi thi
meri aawaz pe qabza jama kar
zarurat jhuth bole ja rahi thi
'ibaadat ke dariche khul gae the
mohabbat aa rahi thi ja rahi thi
kaha sirat ne us ki nazm likkho
magar surat ghazal likhwa rahi thi
bhanwar se bachne mein kashti hamari
magarmachhon mein ghirti ja rahi thi
musalsal bechna padti thin khushiyan
ghamon par itni lagat aa rahi thi
tumhaare ghar se tinke la rahi thi
badan us ka bhi gunga ho gaya tha
hamari bhi nazar hakla rahi thi
hawa ne kyon bujhaya tha diye ko
teri khushbu mujhe samjha rahi thi
meri aawaz pe qabza jama kar
zarurat jhuth bole ja rahi thi
'ibaadat ke dariche khul gae the
mohabbat aa rahi thi ja rahi thi
kaha sirat ne us ki nazm likkho
magar surat ghazal likhwa rahi thi
bhanwar se bachne mein kashti hamari
magarmachhon mein ghirti ja rahi thi
musalsal bechna padti thin khushiyan
ghamon par itni lagat aa rahi thi
64473 viewsghazal • English