jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shairi hai jo kah saka tha wo kah chuka hun jo rah gaya hai wo shairi hai ye shahr sara to raushni mein khila pada hai so kya likhun main wo dur jangal ki jhonpadi mein jo ek diya hai wo shairi hai dilon ke mabain guftugu mein tamam baaten izafaten hain tumhaari baaton ka har tawaqquf jo bolta hai wo shairi hai tamam dariya jo ek samundar mein gir rahe hain to kya ajab hai wo ek dariya jo raste mein hi rah gaya hai wo shairi hai