jo dil qabu mein ho to koi ruswa-e-jahan kyun ho khalish kyun ho tapish kyun ho qalaq kyun ho fughan kyun ho maza aata nahin tham tham ke hum ko ranj-o-rahat ka khushi ho gham ho jo kuchh ho ilahi na-gahan kyun ho ye misra likh diya zalim ne meri lauh-e-turbat par jo ho furqat ki betabi to yun khwab-e-giran kyun ho hamesha aadmi ka aadmi gham-khwar hota hai yahi be-e'tibari ho to koi raazdan kyun ho bahut niklenge roz-e-hashr tere jaur ke khwahan sitam ka hausla duniya mein sarf-e-imtihan kyun ho ghazab aaya sitam tuta qayamat ho gai barpa ye puchha tha ki tum aazurda mujh se meri jaan kyun ho unhin ko ranjish-e-beja hai lekin hai to hum se hai mohabbat gar na ho baham shikayat darmiyan kyun ho gae thukra ke mujh ko aur phir kahte gae ye bhi nasib-e-dushmanan to paemal-e-asman kyun ho nai takid hai zabt-e-mohabbat ki wo kahte hain jigar ho to fughan kyun ho dahan ho to zaban kyun ho sharik-e-daur-e-mai bazm-e-adu mein khak hote hum kisi ne raat-bhar itna na puchha tum yahan kyun ho tahammul kar sake kya husn-e-nazuk un nigahon ka use main ne chhupaya hai wagarna wo nihan kyun ho khuda shahid khuda shahid hai kyun kahte ho wadon par khuda ko kya gharaz mere tumhaare darmiyan kyun ho jigar se kam nahin ai chaaragar dagh-e-jigar mujh ko jo paida ki ho mar mar ke wo daulat raegan kyun ho nawed-e-jaan-fiza hai kya khabar qatil ke aane ki batao to sahi tum 'dagh' aise shadman kyun ho