jo gum-gashta hai us ki zat kya hai gharib-e-shahr ki auqat kya hai saron par saya-e-afat kya hai jo katti hi nahin wo raat kya hai na hone aur hone ki haqiqat sawal-e-nafi-o-isbaat kya hai jami hai gard ki tah bastiyon par hawa ke hath mein saughat kya hai hiqarat mein bujhe kuchh tir-o-nashtar mere kashkol mein khairaat kya hai bujha paen na un ko odh paen guzishta mausamon ki baat kya hai kabhi dekha na us ko bar-awar hamari fasl-e-imkanat kya hai waraq par kyun utarte hain sharare lahu mein shoala-e-jazbaat kya hai ubharte dubte rahte hain sae tamasha ek sa din raat kya hai