jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam zat se apni na hilne ka safar rakkha hai nam pad gaya hai ek bhanwar us ko samajh baithe hain ghar lahr uthi hai lahr ka diwar-o-dar rakkha hai nam nam jis ka bhi nikal jae usi par hai madar us ka hona ya na hona kya, magar rakkha hai nam hum yahan khud aae hain laya nahin koi hamein aur khuda ka hum ne apne nam par rakkha hai nam chaak-e-chaaki dekh kar pairahan-e-pahnai ki main ne apne har nafs ka bakhiya-gar rakkha hai nam mera sina koi chhalni bhi agar kar de to kya main ne to ab apne sine ka sipar rakkha hai nam din hue par tu kahin hona kisi bhi shakl mein jag kar khwabon ne tera raat bhar rakkha hai nam