jo haq pe chalta hai sach ka nishan khinchta hai

By saqib-qamri-misbahiJanuary 4, 2024
jo haq pe chalta hai sach ka nishan khinchta hai
usi ki khaal to sara jahan khinchta hai
sawar asp ki jaise ‘inan khinchta hai
meri khata pe wo waise hi kan khinchta hai


main us ke samne sina-sipar hi rahta hun
wo jab kamin se apna kaman khinchta hai
wo pahle samne rakkhe kisan ka khaka
agar kahin koi taswir nan khinchta hai


kisi mahaz pe jab bhi nikalna chahta hun
to mere panw ko kul khandan khinchta hai
hamin muhafiz-e-namus-e-'ishq-o-'irfan hain
hamin pe har koi tegh-o-sinan khinchta hai


kisi bhi haal mein marta nahin mera kirdar
koi jo silsila-e-dastan khinchta hai
main ek aisa hi khana-ba-dosh hun 'saqib'
jo apne hath se apna makan khinchta hai


65444 viewsghazalEnglish