jo ho nasib to girdab se nikal jaun
By aftab-ranjhaMay 22, 2024
jo ho nasib to girdab se nikal jaun
main apne halqa-e-ahbab se nikal jaun
na-jaane gardish-e-ayyam kyon nahin rukti
main gahri nind ke is khwab se nikal jaun
main chhup ke baitha hun tanhai ke samundar mein
sada jo aae tah-e-ab se nikal jaun
meri tabi'at-e-muztar yahan na thahregi
ai kash gosha-e-simab se nikal jaun
agar wo chahe to ek pal rukun nahin 'barham'
main us ke shahr ke har bab se nikal jaun

68081 viewsghazal • English