jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin sakta mohabbat mein kare kya kuchh kisi se ho nahin sakta mera marna bhi to meri khushi se ho nahin sakta alag karna raqibon ka ilahi tujh ko aasan hai mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin sakta kiya hai wada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho yahan sabr o tahammul aaj hi se ho nahin sakta ye mushtaq-e-shahadat kis jagah jaen kise dhunden ki tera kaam qatil jab tujhi se ho nahin sakta laga kar tegh qissa pak kijiye dad-khwahon ka kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin sakta mera dushman ba-zahir chaar din ko dost hai tera kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin sakta pursish kahoge kya wahan jab yan ye surat hai ada ek harf-e-wada nazuki se ho nahin sakta na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-ashna hain hum ye zahir aap ki kya khamushi se ho nahin sakta kiya jo hum ne zalim kya karega ghair munh kya hai kare to sabr aisa aadmi se ho nahin sakta chaman mein naz bulbul ne kiya jo apni nale par chatak kar ghuncha bola kya kisi se ho nahin sakta nahin gar tujh pe qabu dil hai par kuchh zor ho apna karun kya ye bhi to na-taqati se ho nahin sakta na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka pareshani mein koi kaam ji se ho nahin sakta hua hun is qadar mahjub arz-e-muddaa kar ke ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin sakta ghazab mein jaan hai kya kije badla ranj-e-furqat ka badi se kar nahin sakte khushi se ho nahin sakta maza jo iztirab-e-shauq se aashiq ko hai hasil wo taslim o raza o bandagi se ho nahin sakta khuda jab dost hai ai 'dagh' kya dushman se andesha hamara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin sakta