jo junun-ashna nahin hota

By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
jo junun-ashna nahin hota
aadmi kaam ka nahin hota
baat karta hai nakhuda aise
jaise koi khuda nahin hota


un se aksar mili khabar teri
jin ko apna pata nahin hota
jism-e-fani to ek labaada hai
marne wala fana nahin hota


dar tak to junun hi jata hai
aql mein hausla nahin hota
lakh majbur hai bashar phir bhi
ye jo chahe to kya nahin hota


dil se jab tak ada na ho 'sabir'
koi sajda rawa nahin hota
40021 viewsghazalEnglish