jo kaha wo nahin kiya usne

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
jo kaha wo nahin kiya us ne
wo kiya jo nahin kaha us ne
apna mukhtar ho gaya tha main
apna muhtaj kar liya us ne


munh ke bal gir padi nigah meri
apna chehra ghuma liya us ne
sirf sketch hi bana ke diya
rang koi nahin bhara us ne


mujh se ma'muli she'r likhwa kar
khud ko mashhur kar liya us ne
ek din mere nam ke upar
dusra nam likh diya us ne


38637 viewsghazalEnglish