jo khud udas ho wo kya khushi lutaega bujhe diye se diya kis tarah jalaega kaman khush hai ki tir us ka kaamyab raha malal bhi hai ki ab laut ke na aaega wo band kamre ke gamle ka phul hai yaro wo mausamon ka bhala haal kya bataega main jaanta hun tere baad meri aankhon mein bahut dinon tera ehsas jhilmilaega tum us ko apna samajh to rahe ho 'naz' magar bharam bharam hai kisi roz tut jaega