jo KHun roti hai aankhen sara manzar chiKH uThta hai

By arpit-sharma-arpitDecember 29, 2020
jo khun roti hai aankhen sara manzar chikh uthta hai
bichhad kar mujh se koi mere andar chikh uthta hai
kya us ka dard hai kya gham hai koi us se puchhe to
ek aisa shakhs hai raaton ko uth kar chikh uthta hai


use hai khub dard-e-dil ki gahrai ka andaza
ye aansu dekh kar mera samundar chikh uthta hai
bhari duniya mein tanha be-sahaara dekh kar khud ko
koi masum rota hai to patthar chikh uthta hai


tere hone se diwali hai mere ghar mein har ek din
har ek pal tere jaane ka jo ye dar chikh uthta hai
kisi pal bhi nahin rahta teri khushbu se ye khali
nahin hota hai tu ghar mein to ye ghar chikh uthta hai


tu apne sath jab se le gaya taswir bhi apni
dar-o-diwar rote hain ye bistar chikh uthta hai
juda ho kar bhi insha ki mohabbat us ke dil mein hai
kisi par zulm hota hai qalandar chikh uthta hai


teri yaadon ki ye baad-e-saba jab khun roti hai
mera wahm-o-guman aur dil ka khandar chikh uthta hai
jahan hote ho tum dekho gulabi sham hoti hai
tumhaara zikr hote hi nowember chikh uthta hai


kisi se bhi koi shikwa nahin 'arpit' mujhe phir bhi
mere dil ka ye sannata bhi aksar chikh uthta hai
53972 viewsghazalEnglish