jo mere dil mein hai logon se chhupaun kis tarah kanch ke is shahar ko 'khalid' bachaun kis tarah tu to pahle se bhi ab masum hai mere liye main teri izzat ko mitti mein milaun kis tarah apna paikar bhi mujhe zindan nazar aane laga kashmakash mein hun rihai khud se paun kis tarah main kisi ke adl ki tuti hui zanjir hun mujh pe jo biti hai duniya ko bataun kis tarah dekh kis aks-e-muqabil jism patthar ho gaya chhod kar ab aaina-khane ko jaun kis tarah jagte lamhon ki zanjiron mein hun jakda hua khwab ki diwar ke sae mein aaun kis tarah ratjagon ke shahar mein ja kar use kya ho gaya wo to kahta tha ki main tujh ko bhulaun kis tarah