jo meri aankh se us jism mein daKHil hui hogi
By arpit-sharma-arpitOctober 2, 2021
jo meri aankh se us jism mein dakhil hui hogi
wo ladki phir mere sine mein ja kar dil hui hogi
wo meri jaan-o-dil ki kaifiyat se khub waqif hai
wo kitni bar meri ruh mein shamil hui hogi
na jaane kitne badle honge us ne pairahan apne
to phir aakhir wo mere ishq ke qabil hui hogi
meri aankhon ka sannata bhi kuchh to bolta hoga
wo ladki sun na pai is qadar ghafil hui hogi
palat kar dekhna aur dekh kar aansu baha dena
use jaane mein mujh ko chhod kar mushkil hui hogi
moattar sham hogi aur mahakti har sahar us ki
teri zulfon ki ye khushbu jise hasil hui hogi
andheron mein kisi ko kuchh nazar aata nahin to phir
andheron mein sitam ki raushni shamil hui hogi
hamein to dub marne ke liye hai chullu-bhar pani
kisi ke waste mauj-e-bala sahil hui hogi
mujhe is daur ke haalat se lagta nahin 'arpit'
kise is zindagi mein zindagi hasil hui hogi

49057 viewsghazal • English