jo muKHtasar hai use be-hisab kar dena

By amit-vermaJanuary 1, 2024
jo mukhtasar hai use be-hisab kar dena
wo jaanta hai agan ko bhi aab kar dena
har ek ke liye mumkin nahin mohabbat mein
kisi charagh ko ek aaftab kar dena


meri wo koshishen chehre pe 'ishq padhne ki
wo un ka 'ishq mein chehra kitab kar dena
kamal ye nahin phulon ko khar kar den hum
kamal hai koi kanta gulab kar dena


main un ke gham mein kabhi pi ke jhumna chahun
mere khuda mere aansu sharab kar dena
kabhi dagha jo karun un se to mere maula
meri ye zindagi phir se 'azab kar dena


51549 viewsghazalEnglish