jo muntazar hai wahi inqilab main dunga
By badr-e-alam-khan-azmiJanuary 2, 2024
jo muntazar hai wahi inqilab main dunga
tumhaare pas qalam hai kitab main dunga
wo bhul jaega apne sabhi sawalon ko
jawab aisa use la-jawab main dunga
haqiqaton ke talashi fareb-khurda hain
samundaron mein chhupa kar sarab main dunga
tamam 'umr jalegi meri tarah wo bhi
thahar ki zist ko aisa 'azab main dunga
giri hai khun ki har bund mere daman par
gunah tu ne kiya hai hisab main dunga
koi mujhe mere khwabon se dur kar dega
kisi ki jagti aankhon ko khwab main dunga
bas ek ghunt bana dega ‘arif-o-salik
tum apna jam uthao sharab main dunga
wo apne hath mein ek phul le ke kahta hai
ab aae int ki patthar jawab main dunga
tumhaare pas qalam hai kitab main dunga
wo bhul jaega apne sabhi sawalon ko
jawab aisa use la-jawab main dunga
haqiqaton ke talashi fareb-khurda hain
samundaron mein chhupa kar sarab main dunga
tamam 'umr jalegi meri tarah wo bhi
thahar ki zist ko aisa 'azab main dunga
giri hai khun ki har bund mere daman par
gunah tu ne kiya hai hisab main dunga
koi mujhe mere khwabon se dur kar dega
kisi ki jagti aankhon ko khwab main dunga
bas ek ghunt bana dega ‘arif-o-salik
tum apna jam uthao sharab main dunga
wo apne hath mein ek phul le ke kahta hai
ab aae int ki patthar jawab main dunga
66470 viewsghazal • English