jo nabaatat-o-jamadat pe shak karte hain

jo nabaatat-o-jamadat pe shak karte hain
ai khuda tere kamalat pe shak karte hain

wo jo kahte hain dhamake se jahan khalq hua
dar-haqiqat wo samawat pe shak karte hain

main bhi bachpan mein tafakkur pe yaqin rakhta tha
mere bachche bhi riwayat pe shak karte hain

main isi shahr mein aansu liye phirta hun jahan
ped chidiyon ki munajat pe shak karte hain

apne hisse mein wo be-faiz sadi hai jis mein
log waliyon ki karamat pe shak karte hain

is liye hum pe guzarti hai qayamat har din
hum qayamat ki alamat pe shak karte hain

aap ke khet mein ugti hai sunahri gandum
aap kyon us ki inayat pe shak karte hain

jin ko musa ka pata hai na khabar tur ki hai
aise bad-bakht bhi tauraat pe shak karte hain

ishq ki ain ka to dasht mein madfan hi nahin
aashiqan yunhi kharabaat pe shak karte hain

aap jharnon ki tilawat ko nahin sun sakte
aap fitrat ke ishaaraat pe shak karte hain

sirf shair hi nahin hun main musalman bhi hun
aap kyon meri ibaadat pe shak karte hain

aap ko chahiye suqraat ke bare mein padhen
aap 'wasif' ke khayalat pe shak karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close