jo nazar kiya main sifat mein hua mujh pe kab ye ayan nahin meri zat ain ki ain hai wahan dusri ka nishan nahin wahi do jahan mein hai muftakhar jaise ainiyat ki hui khabar wahi hukmaran hai jahan mein wahan kufr-o-din ka guman nahin rahe ghairiyat ke hijab mein jo khuda-numa se nahin mile jo khuda ko un se talab kiye rahi baat un pe nihan nahin jise ho subut wajud ka wahi haq-shanas hai ba-khabar unhen jumla aawe khuda nazar wo khuda ko dekhe kahan nahin main watan mein aap safar kiya jo qadam ko apni nazar kiya mila apna aap pata mujhe jahan ghairiyat ka bayan nahin main to ek 'markaz'-e-dahr hun jo khuda-numa ke nishan se jo bataun haq ka pata jise rahe baqi us ko guman nahin