jo paDhne ke liye usko diya diya jae

jo padhne ke liye us ko diya diya jae
to mere jism ko ek khat bana diya jae

wo ruh pyas hai meri so chahta hun main
badan hata ke mujhe rasta diya jae

wo ladki roz yahi kahti rahti hai mujh se
chalo charagh jala ke bujha diya jae

hamin parinde ke har zakhm ka khayal rakhen
hamin se le ke parinda uda diya jae

to is se pahle ki mujh ko bharam ho hansne ka
tamasha khatm ho parda gira diya jae

ye jism aansuon se itna bhar chuka hai dost
mita ke ab mujhe dariya bana diya jae

yahin chhua tha mujhe chhodte hue us ne
yahan ke zakhm ko gahra bana diya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close