jo qatre mein samundar dekhte hain tujhe manzar-ba-manzar dekhte hain qaba-e-dard jab se zeb-e-tan hai khushi ko apne andar dekhte hain chalo amn-o-aman hai mai-kade mein wahin kuchh pal thahar kar dekhte hain kabhi tanhai ne tanha na chhoda tamasha phir bhi ghus kar dekhte hain karam-farmai hai suraj ki ye bhi use apne barabar dekhte hain hum apne panw phailaenge 'akhtar' kahan tak hai ye chadar dekhte hain