jo ranjishen thin unhen barqarar rahne diya
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
jo ranjishen thin unhen barqarar rahne diya
gale mile bhi to dil mein ghubar rahne diya
nae makan ki ta'mir kar to li hum ne
purani chhat ko magar barqarar rahne diya
na koi khwab dikhaya na gham diya us ko
bas us ki aankhon mein ek intizar rahne diya
use bhula bhi diya yaad bhi rakha us ko
nasha utar diya aur khumar rahne diya
gali ke mod se aawaz de ke laut aae
tamam raat use be-qarar rahne diya
wo hum ko tod ke jata to bhul jate use
nikalne wale ne lekin hisar rahne diya
na jaane kya tha ki us se fareb kha kar bhi
usi ke hath mein sab ikhtiyar rahne diya
ye sard rut bhi hamein khud ko tapte guzri
ghazal ko hum ne magar saya-dar rahne diya
bada guman tha us ko hamari chahat ka
'shakil' hum ne bhi us ka khumar rahne diya

26548 viewsghazal • English