jo sach nahin hai wahi dikhana taras na khana

By vikas-sahajJanuary 5, 2024
jo sach nahin hai wahi dikhana taras na khana
sada hamein bewafa batana taras na khana
kabhi jo tum se kahin milen hum to yaad rakhna
hamari haalat pe muskurana taras na khana


tumhin ko duniya bana liya hai so tum ko haq hai
hamari duniya ujad jaana taras na khana
dagha kisi se kiya nahin hai nahin karenge
agar tumhein bhi ho aazmana taras na khana


86200 viewsghazalEnglish