jo sajta hai kalai par koi zewar hasinon ki tabhi badhti hain qimat jauhari tere naginon ki utha deti hai diwaren dilon ke bich ye akasr zarurat kyun ho phir hum ko bhala aisi zaminon ki usi mein chhed karte hain ki jis thaali mein khate hain badal sakti nahin aadat kabhi aisi kaminon ki bhara hai lakh phulon se mere ghar ka hasin aangan yahi hai meri daulat mujh ko kya chahat dafinon ki kabhi mehnat mashaqqat se kama loge bahut daulat magar badloge tum kaise lakiron ko jabinon ki utha kar ek bar un ko laga lo apne honton se chuengi aasman ko qimaten un aabginon ki jo nukta-chin hain rahna hai hamesha nukta-chin un ko badal sakti nahin fitrat kabhi bhi nukta-chinon ki