jo samae the kabhi aankh mein tare ban kar

By sabir-naseerabadiOctober 26, 2023
jo samae the kabhi aankh mein tare ban kar
aaj aankhon mein sulagte hain sharare ban kar
dubne wale safinon ko fana hone do
ek na ek roz ye ubhrenge kinare ban kar


karwan lut liya ghairon ne is ka gham kya
gham hai luta hamein apnon ne sahaare ban kar
khun mazlum ka kab tak ye zamin chusegi
jism se phutega ye aag ke dhaare ban kar


apni aankhon se baraste hain jo moti 'sabir'
jagmagaenge kisi roz sitare ban kar
87579 viewsghazalEnglish