jo shikwa karte hain hashami se kam-numai ka

jo shikwa karte hain 'hashami' se kam-numai ka
unhen bhi dar hai zamane ki kaj-adai ka

phire hain dhup mein sae ko sath sath liye
ki khul na jae bharam apni be-nawai ka

magar kuchh aur hai yari ki baat shauq se tum
lagao chehron pe ilzam aashnai ka

araq araq the nadamat ki aanch se khud hi
gila karen bhi to kya teri bewafai ka

kuchh is ada se satae gae hain hum ab ke
har ek sans mein andaz hai duhai ka

chala to hun tere hamrah kuchh qadam hi sahi
jo de to kyun mujhe tana shikasta-pai ka

jo apne dar pe sada di to kya mila pyare
yahi ki nam dubo aae hum gadai ka

nikal pade ho use dhundne magar 'hashami'
ye rasta hai meri jaan na-rasai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close