jo soz-e-mohabbat mein jalte rahe
By rizwan-aliFebruary 28, 2024
jo soz-e-mohabbat mein jalte rahe
andheron ki qismat badalte rahe
dil-o-jaan karta tha jin par nisar
mere nam se kyon wo jalte rahe
unhi ko mile manzilon ke nishan
jo har gam gir kar sanbhalte rahe
khuda ne diye the jinhen hausle
hawaon ke rukh wo badalte rahe
hue manzilon se shanasa wo hi
meri rahbari mein jo chalte rahe
raha mujh pe ye bhi khuda ka karam
mere sar se tufan talte rahe
main manzil pe apni pahunch bhi gaya
jo hasid the hath apne malte rahe
buzurgon ke naqsh-e-qadam jis pe the
usi rah pe 'rizwan' chalte rahe
andheron ki qismat badalte rahe
dil-o-jaan karta tha jin par nisar
mere nam se kyon wo jalte rahe
unhi ko mile manzilon ke nishan
jo har gam gir kar sanbhalte rahe
khuda ne diye the jinhen hausle
hawaon ke rukh wo badalte rahe
hue manzilon se shanasa wo hi
meri rahbari mein jo chalte rahe
raha mujh pe ye bhi khuda ka karam
mere sar se tufan talte rahe
main manzil pe apni pahunch bhi gaya
jo hasid the hath apne malte rahe
buzurgon ke naqsh-e-qadam jis pe the
usi rah pe 'rizwan' chalte rahe
54447 viewsghazal • English