jo suraj ho to har manzar ujala kyun nahin karte ye aathon pahr ki raaten sawera kyun nahin karte tajjub hai mujhi ko apni mahfil mein nahin dekha nahin dekha agar tum ne to dekha kyun nahin karte churaata hai wo pahle nind phir shokhi se kahta hai ye shab bhar jagte rahte ho soya kyun nahin karte hisab-e-dostan ai dil khayal-e-nek hai lekin tumhaare pas bhi dil hai tum aisa kyun nahin karte mere bhai agar tairak banna chahte ho tum to dariya ke kinare se kinara kyun nahin karte utha kar roz le jata hai mere khwab ka manzar wo mujh se roz kahta hai bharosa kyun nahin karte to din ko ishq ki baaten samajh hi mein nahin aaen samajh hi mein nahin aain to samjha kyun nahin karte dilon ka qarz raqmon se ada hota nahin 'khalid' bahut aasan hai ye kahna taqaza nahin karte