jo takabbur se bhatakti hai zaban aage aage phir bahakti hai zaban ho gaya nasur har ek lafz hai bolta hun pakne lagti hai zaban jild se chhan chhan ke bahte hain khayal aur aankhon se chhalakti hai zaban nam-e-jaan kitna garan hai jaan pe halq galta hai pighalti hai zaban moajiza hai ye bhi us ke qaul ka bund ban kar jo barasti hai zaban kuchh mulaqaton mein hi hai ye asar tujh mein bhi meri jhalakti hai zaban