jo talluq hai chaman mein phul ka khushbu ke sath hai wahi rishta musalman ka yahan hindu ke sath hai wahi nisbat hamari sar-zamin-e-hind se jo hai nisbat shairi mein mir ki urdu ke sath aarzi hai husn-e-duniya dar-haqiqat doston is liye hi amrpali chal padi bhikshu ke sath lad rahe the jang donon mukhtalif andaz mein main tha haq ke sath aur wo quwwat-e-bazu ke sath jis tarah se chand chamke badliyon ke bich mein kis tarah chehra tha raushan turra-e-gesu ke sath kal jise main ne sikhae the alif be te 'bilal' baat wo karta hai mujh se aaj-kal be tu ke sath