jo tere sath zara der tak ruka hota
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
jo tere sath zara der tak ruka hota
main ek khayal se aage nahin gaya hota
faqir log rahe apne apne haal mein mast
nahin to shahr ka naqsha badal chuka hota
main apne dil se mukhatib tha tajiron se nahin
ki nap tol ke sab kuchh kaha suna hota
wo baadshah-e-mohabbat mein haar bhi jate
to saltanat ka bada kaam ho gaya hota
koi to jag gaya hota bagh jalne tak
meri sada se kisi ka bhala hua hota
hum aise log to ukta gae the 'ishq se bhi
wo bewafa nahin hota to jaane kya hota
bhala hua ki juda ho gaya wo jadugar
main band aankhen liye sath chal raha hota

93010 viewsghazal • English