jo the muKhaalif hamin se hum ko wo dekh kar ke sanwar rahe hain

By abdullah-minhaj-khanAugust 28, 2024
jo the mukhalif hamin se hum ko wo dekh kar ke sanwar rahe hain
wafa ki talqin karne wale wafaen karne se dar rahe hain
na milta un ko magar mila hai yahi to qudrat ka faisla hai
jo log karte the kal takabbur wo tut kar ab bikhar rahe hain


tumhin ne kam-zarf kah ke jin ko nikal rakkha tha mahfilon se
wahi sitare jo kal the dube wo aaj dekho ubhar rahe hain
hazar wa'de kiye unhon ne magar wo wa'don pe aa na pae
bharosa jin pe kiya tha hum ne zaban se apni mukar rahe hain


jo todte the kisi ke dil ko samajh ke mitti ka ek khilauna
ye koi hum se bata raha tha wo aaj ghut ghut ke mar rahe hain
suno ai 'minhaj' qais-o-lila ki dastan-e-wafa yahi hai
wafa ke raste pe marne wale yahan hamesha amar rahe hain


94614 viewsghazalEnglish