jo tu hi sanam hum se be-zar hoga to jina hamein apna dushwar hoga gham-e-hijr rakkhega be-tab dil ko hamein kudhte kudhte kuchh aazar hoga jo ifraat-e-ulfat hai aisa to aashiq koi din mein barson ka bimar hoga uchatti mulaqat kab tak rahegi kabhu to tah-e-dil se bhi yar hoga tujhe dekh kar lag gaya dil na jaana ki us sang-dil se hamein pyar hoga laga karne hijran sakhti se sakhti khuda jaane kya aakhir-e-kar hoga yahi hoga kya hoga 'mir' hi na honge jo tu hoga be-yar gham-khwar hoga