jo tum pe yunhi luTai maine ab uski qimat to chahiye na
By shahnawaz-ansariMarch 23, 2021
jo tum pe yunhi lutai main ne ab us ki qimat to chahiye na
tumhaari nazron mein hai mohabbat agar tijarat to chahiye na
jo mujh se milne ki khwahishen hon to ek lamha tawil kar lo
masafaton ko sametna hai zara si muddat to chahiye na
tumhaare lahje mein tanz hai par suno kuchh is mein maza nahin hai
tum is ko thoda sa talkh kar lo zara si lazzat to chahiye na
main chahta hun ki aks tera meri nazar se bhi ho ke guzre
ye dil jo khali dhadak raha hai ab is mein hasrat to chahiye na
mujhe wo kuchh aise dekhti hai ki jaise mujh ko bula rahi ho
main us ki jaanib qadam badha lun magar ijazat to chahiye na
main ashk sare sukha ke apni udasiyan bhi tabah kar lun
magar mujhe in tabahiyon ki koi zamanat to chahiye na

50389 viewsghazal • English