jo us ne kiya use sila de maula mujhe sabr ki jaza de ya mere diye ki lau badha de ya raat ko subh se mila de sach hun to mujhe amar bana de jhuta hun to naqsh sab mita de ye qaum ajib ho gai hai is qaum ko khu-e-ambiya de utrega na koi aasman se ek aas mein dil magar sada de bachchon ki tarah ye lafz mere mabud inhen bolna sikha de dukh dahr ke apne nam likkhun har dukh mujhe zat ka maza de ek mera wajud sun raha hai ilham jo raat ki hawa de mujh se mera koi milne wala bichhda to nahin magar mila de chehra mujhe apna dekhne ko ab dast-e-hawas mein aaina de jis shakhs ne umar-e-hijr kati us shakhs ko ek raat kya de dukhta hai badan ki phir mile wo mil jae to ruh ko dikha de kya chiz hai khwahish-e-badan bhi har bar naya hi zaiqa de chhune mein ye dar ki mar na jaun chhu lun to wo zindagi siwa de