jo yun banae hain aurat namaz aur khushbu khuda ke sae hain aurat namaz aur khushbu wahan ki khak kisi nur se bani hogi jahan se aae hain aurat namaz aur khushbu bahut kathin hai samana zamin ke rangon mein magar samae hain aurat namaz aur khushbu hua hai asr se maghrib ke darmiyan ka waqt faza pe chhae hain aurat namaz aur khushbu har ek chiz kisi ne banai hogi magar bane banae hain aurat namaz aur khushbu jo kaenat ne dekhe nahin the pahle kabhi wo khwab lae hain aurat namaz aur khushbu