jo zauq hai ki ho daryaft aabru-e-sharab

By muneer-shikohabadiNovember 9, 2020
jo zauq hai ki ho daryaft aabru-e-sharab
to chashm-e-jam se ai shaikh dekh su-e-sharab
kabhi to de gul-e-dastar-e-shaikh bu-e-sharab
qaba ki bel mein yarab lage kadu-e-sharab


wo mast hain jo hain majruh-e-tegh-e-mauja-e-mai
jigar ke chaak pe ai gul bane subu-e-sharab
jo aashiq-e-lab-e-be-gun-e-yar ho farhad
to be-sutun se bhi jae shir-e-ju-e-sharab


wo mast hain ki jo tija pas-e-fana hoga
hamare phul banenge gul-e-kadu-e-sharab
hamesha mai-kade mein khush-qadon ka majma hai
hazaron sarw lage hain kinare ju-e-sharab


lagain tak ke us mast ne jo talwaren
dahan-e-zakhm-e-badan se bhi aai bu-e-sharab
dubo diya mujhe tufan-e-mai ne ai saqi
amiq-tar qadd-e-amdam se nikle ju-e-sharab


namaz shukr ki padhta hai jam tod ke shaikh
wazu ke waste leta hai aabru-e-sharab
wo rashk-e-hur mai-e-mushkbu ka khwahan hai
gul-e-bahisht hai mushtaq-e-rang-o-bu-e-sharab


sada-e-qulqul-e-mina se ho gaya sabit
ki pet bhar ke karen mast guftugu-e-sharab
ba-rang-e-shisha-e-mai ab ki fasl-e-barish mein
karenge baith ke kashti mein sair-e-ju-e-sharab


khula ye shishon ke jhukne se haal ai saqi
ki sar-kashi nahin lazim hai ru-ba-ru-e-sharab
asir-e-dam-e-alaeq hon kis tarah mai-khwar
ki rassiyon mein nahin bandhte subu-e-sharab


na ho jo kisht-e-amal apni sabz ai saqi
riyaz-e-khuld se hum kat laen ju-e-sharab
ilaj-e-zoaf-e-basar nur-e-mai hai maston ko
hamari aaankhon ki chashma banegi ju-e-sharab


pata laga ke gaya su-e-gulshan-e-jannat
kahan kahan nahin ki main ne justuju-e-sharab
kisi ne saghar-e-mai se gulon ko di tashbih
nasim-e-bagh se aai jo aaj bu-e-sharab


milenge saghar-o-mina jo khali use saqi
karenge dida-o-dil apni justuju-e-sharab
kiya jo mai-kashon ne azm-e-sair-e-alam-e-ab
to badle tonbon ke hath aa gai kadu-e-sharab


kharid-e-jins-e-shafaat mein hogi kaifiyat
hamari ganth mein hai naqd-e-abru-e-sharab
bahak ke jaun jo masti mein jaanib-e-kausar
to mujh ko dast-e-subu khinch lae su-e-sharab


ye kis ke aane se mai-khana mein hui shadi
dulhan ke itr se milti hai aaj bu-e-sharab
badan jo tut raha hai zuruf-e-mai ke sath
bana hai kya gul-e-adam se har subu-e-sharab


wo rashk-e-mai kare baala-e-baam mai-khwari
ilahi aaj khat-e-kahkahshan ho ju-e-sharab
zuruf-e-baada-e-gul-gun ho mere kandhon par
farishton se bhi main uthwaun har subu-e-sharab


khula ye phulon ke hone se haal ai zahid
pas-e-fana bhi hai rindon ko aarzu-e-sharab
suna hai pas masiha ke aaftab bhi hai
karenge maut ke hile se justuju-e-sharab


na ho saki koi tazir-e-mai-kashi sabit
ziyaada had se badhi aaj guftugu-e-sharab
gada-e-baada hun ulfat mein chashm-e-maigun ke
tere faqir ka tonba bana kadu-e-sharab


huzur-e-dukhtar-e-zar hath panw kanpte hain
tamam maston ko rasha hai ru-ba-ru-e-sharab
'munir' saqi-e-kausar se lun sharab-e-tuhur
kabhi main aankh utha kar na dekhun su-e-sharab


26795 viewsghazalEnglish