josh-e-wahshat mein gareban pe nazar hai shayad
By ahmad-armaniSeptember 30, 2021
josh-e-wahshat mein gareban pe nazar hai shayad
yahi diwane ka saman-e-safar hai shayad
main to sirf aap ki badnami ka karta hun khayal
aap ko bhi meri ruswai ka dar hai shayad
un ke daman pe jo tapka tha khushi ka aansu
main to samjha tha darakhshanda guhar hai shayad
raunda jata hai jo pairon se abas maqtal mein
ye kisi aashiq-e-nakaam ka sar hai shayad
be-piye hosh-faramosh hain sare mai-kash
un ki makhmur nigahon ka asar hai shayad
zulf-o-rukh dekh ke 'ahmad' ye guman hota hai
sham ki god mein betab sahar hai shayad

86101 viewsghazal • English