juda jab tak teri zulfon se pech-o-KHam nahin honge

juda jab tak teri zulfon se pech-o-kham nahin honge
sitam duniya mein badhte hi rahenge kam nahin honge

dil-e-pur-gham na honge dida-e-pur-nam nahin honge
andhera hoga us mahfil mein jis mein hum nahin honge

dilase un ke jo dard-ashna-e-gham nahin honge
namak hi honge dil ke zakhm par marham nahin honge

agar badhta raha yunhi ye sauda-e-sitamgari
tumhi ruswa sar-e-bazar hoge hum nahin honge

janab-e-shaikh par afsos hai hum ne to samjha tha
haram ke rahne wale aise na-mahram nahin honge

idhar aao tumhaari zulf hum aarasta kar den
jo gesu hum sanwarenge kabhi barham nahin honge

agarche 'ishq mein marne ka khatra hi ziyaada hai
magar marne ke dar se marne wale kam nahin honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close