juda nahin hai har ek mauj dekh aab ke bich hubab bahr mein hai bahr hai hubab ke bich laga hai jis se mere dil mein ishq ka kanta hun misl-e-mahi-e-be-tab pech-o-tab ke bich kisu ke dil ki imarat ka fikr kar munim bana na ghar ko tu is khana-e-kharab ke bich har ek chalne ko yan mustaid hai shah-sawar zamin pe panw hai ek dusra rikab ke bich ba-rang-e-shama chhupe husn-e-jalwagar kyun kar hazar us ko rakhen burqa-o-naqab ke bich 'nasir' aankhon mein apni lage hai yun do jahan khayal dekhte hi jaise shab ko khwab ke bich