judai had se baDhi to visal ho hi gaya

judai had se badhi to visal ho hi gaya
chalo wo aaj mera ham-khayal ho hi gaya

nawazta tha hamesha wo gham ki daulat se
aur is khazane se main mala mal ho hi gaya

main aadmi hun to himmat na tutti kaise
ghamon ke bojh se aakhir nidhaal ho hi gaya

ye aur baat ki wo aadmi na ban paya
magar zamane ki khatir misal ho hi gaya

wo aaftab ki din mein uruj tha jis ka
hui jo sham to us ka zawal ho hi gaya

main karobar-e-jahan mein ulajh gaya itna
ki khud se milna bhi ab to muhaal ho hi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close