judai tum se gawara nahin karenge hum
By surender-sagarJanuary 5, 2024
judai tum se gawara nahin karenge hum
mohabbaton se kinara nahin karenge hum
nasha karenge teri aankhon se machalne tak
sharab se hi guzara nahin karenge hum
ye kaise man liya tum ne dur rah kar bhi
ki intizar tumhaara nahin karenge hum
tumhaari yaad dilata hai aaina mujh ko
is aaine ko nihaara nahin karenge hum
bhatak na jae chaka-chaundh mein kahin 'sagar'
faqat yun khud ko sitara nahin karenge hum

12212 viewsghazal • English