junbish-e-arz-o-samawat mein aae hue hain in dinon gardish-e-haalat mein aae hue hain ab jo tu chahe jahan chahe hamein le jae kya karen hum jo tere hath mein aae hue hain main akela hi nahin aaya tujhe dekhne ko kuchh sitare bhi mere sath mein aae hue hain ai mah-e-chaar-dahum teri khushi ki khatir ek siyah-raat ki bohtat mein aae hue hain main bhi din-raat yahan kuza-gari karta hun us ke sab rang meri zat mein aae hue hain ishq khud aap khurafat-e-tamanna hai 'zaim' is liye dasht-e-khurafat mein aae hue hain