junun-e-rang ham-ahangi-e-mazaq tumhi bina-e-ranj tumhi wajh-e-ittifaq tumhi tumhi ho raushni-e-tab-e-kushtagan-e-hayat shab-e-siyah alam mein siraj-e-taq tumhi rawan-dawan nahin mujh mein koi tumhaare siwa tumhi ho manzar-e-mawwaj chashm-e-waq tumhi tumhi se hon to ye kyun sochta hun main kya hun tumhi ki husn-e-jahan bhi ho husn-e-taq tumhi main aaine ki tarah be-khabar hun hairan hun main kaise bolon ki raqi tumhin ho raq tumhi ye khair-o-shar mein tanasub tumhi se qaem hai tumhi ho musbat-o-manfi ke sang-e-haq tumhi